Dahej pratha
Hi mein Deepa Regar, aaj me aapke liye dahej partha par kahani lekar aai hu.
Dahej partha ek samajik kupratha hai. Yeh garib logo k liye abhishap h.
Kuch samaj sudharko or netao ne dahej prtha ko rokne ki kosis ki lekin fir bhi safal nhi hue. dahej prtha dheere dheere apna bura roop leti hi ja rhi h.dahej ek aisi kuprtha h jise desh se mitana hi hoga.
News pepar me aisi khabre aaye din chapti hi rahti hai.
Kabhi dahej k lobhi pita dahej na dene ke karan baarat wapas le jaate toh kbhi stove fat jane se ladki ki mout ho jati. saas ne bahu ko jala diya,ladki ko majbur karke maara gaya.
Amir log to is partha ko ache se nibha rhe h pr garib logo ki betiya ghar me hi baithi rh jaati h or agar shadi kar dete h to sasural me preshaniyo ka samna karna padta hai.
Dahej lena or dena dono hi gunah h.
Me bas itna kahna chahti hu ki Sarkar ko is partha pr bhi rok lagani chahiye.
Is kahani ko pura padhna.
Ek gaon me ek bahot garib kisan pariwar rahta tha. Us priwar me pati patni or ek unke beti thi.
Kisan ka naam Gopi tha.
Uske pass apna khet bhi nhi tha to wo dusro k kheto me din raat mehnat karke bhi wo sirf do waqt ka khana hi priwar ko khila pata tha.
Uski beti Meera wo padhai krti thi.
Uski ma kamla ghar ka kaam or apne pati gopi ko khet me kaam karwati thi.
Kuch saal baad meera 15 saal ki ho gai.
Uski maa ab bimar rahne lagi thi.
Ek din gharpe koi nhi tha gopi khet me kaam krne gaya or Meera school gai hui
thi,achanak kamla bahut bimar ho gai,uske
jhet k ladke ne jakar gopi or meera ko bulaya.
Unke aane k baad thodi der me hi Kamla ki
saanse ruk gai or wo is duniya se ja chuki thi.
Ab baap beti akele reh gaye.
Choti umar me hi ghar ka pura ka kaam sambhalne lgi.
Usne padhai chor di thi kyu ki ghar ke halaat paiso ki tangi k karan bahut kharab the.
Ab wo badi ho gai Gopi ko uski shadi ki chinta satane lgi .
Gopi bahot pareshaan rahne lga.
Samaj wale Gopi ko beti ki shadi krne ko bol bol kr preshan krne lge.
Gopi ab paiso ki tangi k karan wo logo se udhar mangne lga.
Gopi ko udhar dene se sbhi ne mna kr diya ab wo bahot dukhi ho gaya.
Uski ek hi beti thi usko ache ghar me shadi
karna chahta tha
Bade ghar me rista karne k liye dahej bhi bahut dena padega wo man hi man sochta tha.iske liye use bahut paiso ki jarurat hogi
wo apni beti ko khush dekhna chahta tha. uski shadi me kisi cheez ki koi kami nhi chahta tha.
Isliye wo apne ghar k kaagaz lekar gaon k sarpanch k pass gaya.
Sarpanch ne kaha dekhta hu tumhare ghar pe aakar tumhara ghar uske hisab se paise dunga.
Wo dusre din hi uske ghar gya or usne Gopi ko kaha apni beti ko bulao.
Meera tumhe sarpanch ji bula rahe h.
Meera unke liye chai leke aai or unke pair chuye.
Sarpanch ne kaha tumhari beti bahut guni h mujhe ye apne bete k liye pasand aa gai.
Gopi ne kaha kya kah rhe ho sarpnch ji aap to mera ghar dekhne aaye ho.
Sarpanch ne kaha han gopi me apne ladke k liye ladki dekhne ki talaash me hu or aapki ladki mere bete k liye sahi h.
Gopi bahot khush ho gaya pr wo bahot dukhi bhi tha kyu ki sarpnch k ghr k layak mere
pass itna dhan nhi tha.
Sarpanch ne kaha mujhe pta h tum kyu dukhi ho me sab jaanta hu.
Tumhe ghar girvi rkhne ki jrurat nhi h.
Mujhe kuch nhi chahiye mujhe bas tumhari
beti chahiye
Tumhari beti us ghar me chali aayegi to
Wo ghar swarg ban jayega.
Mujhe dahej nhi chahiye bs tum shadi ki tayariya kro koi bhi cheej ki jroorat ho to mujhe bol dena sharmana mat.
Sarpanch ghar aakar apni patni ko shadi ki khushkhabri di to pahle to wo bahot khush ho gayi or bolne lagi mujhe pata tha aap mere ladle k liye ache ghar me rista karke aaye h.
Bahot dhan dolat milega bete ki shadi me.
Gadi ki baat to aap karke aaye ho naa bolte huye krne ki kya jrurat paise wale h aakhir gadi kya cheej h unke liye,me to aise hi poochne lgi chalo choro Lekin aap mujhe bina bataye rista tay krke aa gaye,me bhi to dekhu bhahurani kesi dikhti h.
Sarpnch ne kaha bahu ko to tum dekh lena koi kami nhi h.
Bahut sunder or guni h.
Sanskari h ghar k saare kaam khud hi krti uski maa nhi h.
Itna kahte hi sharda(sarpanch ki patni) bol padi ,kya nokro ko lga nhi rkha.
itne amir hokar bhi wo ghar ka kaam khud
krti h.
Sarpanch ne kaha ruko Sharda tum bole hi jaa rhi ho meri to suno,wo koi paise wale nhi h pr dil k bahut ache h wo ek garib kisan ki beti h .
Itna sunte h hi wo bhadak gai aisa kaisa rista karke aaye ho mere bete k liye.
Tumne soch bhi kese liya me us grib ladki ko apni bahu svikaar karungi,aisa kbhi nhi hoga mere hote huye bhukhe ghar me kbhi apne bete ki shadi nhi krugi .
Sarpanch ne kaha meri bhi suno wo ladki bahot achi h guni sanskari h wo apne ghar ko ache se shambhal legi paise wale hi sab kuch nhi hote.
Nhi ji nhi me kbhi us ghar me apne bete ki shadi nhi hone dungi,kya muh dikhayege samaj walo ko mera to ek hi beta h
Sab majak banayege, sharda boli.
Sarpanch ne kaha dekho Sharda is ghar ki bahu to wo ladki hi banegi tum chahe jo karlo tum bhi to ek garib ladki thi maine bhi toh tumhe is ghar me laya.
Aakhir wo mera bhi beta h mujhe bhi haq h uske liye kya sahi h kya galat hai.
Itna kahte hi wo muh bnakar wahan se chali gai.
Sarpnch shadi ki tayariyo me lag gaya bete ko ladki dikha di use bhi pasand aa gai.
Sharada aise hi mana krti rhi sarpnch ne uski ek na suni.
Kuch dino baad shadi bhi ho gai.
Meera bahu banke us ghar me aa gai.
Aage dekhte h kya hota h aap kahani padhte rahiye.
Din niklte gye or sharda k tevar badlte gye.
Wo dino din Meera ko preshan krne lgi.
Usne ghar k nokro ki chutti kr di.
Ghar ka pura kaam meera se karwane lgi.
Meera ko bolti rahti me chahti to tumhe is ghar ki bahurani to bahut dur ki baat h nokrani bhi naa banau.
Me to kisiko muh dikhane k layak bhi nhi rhi.
Sabhi bolte h bahu h ya bhikharan aai h kuch nhi leke aai.
Itne bade ghr ki bahu or dahej me kuch nhi layi.
Mere hi bete ki hi kismat kharab h jo sarpanch ji tum jesi grib bhikharan ko mere ghar ki bahu bana kar laye.
Aage pdho kya hota h Meera k saath.
Din niklte gaye or sharda k taane din ba din badte gaye.
Sharda ne Meera ki nokrani se bhi buri haalat kr di lekin Meera apne pita ji se kbhi kuch nhi kahti.
Gopi ye sb sahan nhi kr paata.
Sharda ka julm meera pr aaye din badhta hi gaya.
Meera pr haath uthane lgi thi apne bete mahesh ko meera k khilaf bhadka diya tha, ab Mahesh bhi Meera par haath uthata,aaye din maar peet chalti rhti thi,
Meera uff tak nhi krti thi.
Ek din Meera ke pitaji apni beti se milne aaya.
Ghar k andar ghuste hi Meera ki saas sharda aangn me hi baithi thi.
Sharda ne kaha apni beti se milne aaye ho khali haath hi aa gye kuch leke nhi aaye. kya aise hi chale aate hai apni beti k sasuraal?
Gopi ne kaha me aise hi ja rha tha to socha apni beti se bhi mil lu waise me ye jalebiya leke aaya hu.
Sharda ne kaha aisi jalebiya to hamare ghar ke kutte bhi naa khaye ham kya khayenge.
Apni beti ko hi khilao itna bolkar wo chali gai.
Peeche khadi Meera ne saari baat sun li thi.
Use bahut dukh hua wo apne pita ki beizzati sahan nhi kar pai lekin kr bhi kya skti h.
Meera ne apne pitaji se kaha itne dino baad meri yaad aai,mera haal bhi naa poocha kaisi hu me zinda bhi hu ya nhi.
Aisa kyu kah rhi ho beti tum to yaha khush ho naa me sarpanch ji se milta rahta hu wo tumhare bare me batate rhte h tum bahut khush rhti ho aise.
Meera ne kaha han pita ji me bahut khush hu.
Mujhe yahan koi cheej ki kami nhi.
Bs maaji to aise hi bolti rhti h man ki bahut achi h.
Gopi ne Meera k haatho pr chot k nisaan dekhe to kaha ye kya h beti tumhare haath pr ye nisaan kese .
Meera ne kaha kuch nhi ye to bs aise hi h me gir gai thi isliye ye nisaan h.thik ho jaayege lekin Gopi sb samjh gaya.
Meera ne rote huye kaha mene kaha na pitaji aise hi h me bahut khush hu yaha.thik h beti tum kahti ho to me maanta hu.
Tum khush rahna hamesha or agar kuch bhi tumhare saath galat ho to mujhe batana jarur. itna kahkar jaane lage.
Apna khyaal rkhna kehkar rote huye chale gaya.
Gopi k jaane k baad sharda Meera k pass aai or bolne lagi ki kya kya de diya chori chipe apne bikhari baap ko.
Meera se raha n gaya wo virodh krte huye, mere pita ji ko kuch mat kahiye.
Wo to mere haal chaal poochne aaye the,
Aap hi ne unka apmaan kiya h mene sab sun liya tha.
Itna bolte hi sharda boli, zubaan ladaati ho mere samne. aukat dekhi h apni, do kodi ki bhi nhi, or mere samne bolne chali.
Ek din ki baat h jab ghar me koi nhi tha
Saas bahu dono thi .
Sharda ko Meera ek aankh bhi nhi sahan hoti thi.
Meera rasoi ghar me khana bna rhi thi or sharda ne bina soche samjhe aake Meera ke upar kerosene daalne lgi Meera bolti rhi maaji aisa mat kijiye iska anjaam bahut bura ho sakta h,me mar jaaungi ,me haath jodti hu mujhe mat maariye wo roti bilkhti rhi pr sharda ne uski ek n suni.
Kerosne daalkar aag lga di or Meera tadap tadap kar wahin mar gai.
Sharda ne chila chila kr pure mohle ko iktha kr liya or chilane lgi meri bahu ko koi bachao wo jal rahi h pata nahi kya ho gya kaise aag lg gai meri bahu ko bacha lo .
Ye mar jayegi koi to use bachao lekin koi aag
Me nhi gaya wo to Puri jal chuki thi.
Meera k pita ji Gopi ko pta Chala to sdhme me pahuch gaye.
Meera ke chachere bhai Meera se bahut laad pyar se rehte the.
Unhone Gopi ko sambhala Gopi ne
Puri baat unko batayi to wo gusse se bhadak Gaye unhone Kaha ham nhi chodege unko unke kiye ki saja milegi
Gopi ko housla diya.
Wo police lekar Meera k sasural pahunch Gaye.
Sharda meera ki shav ke paas baithi thi.
Magarmach k aanshu baha rhi thi.
Gopi ne maa beta or sarpanch pr report likhwai thi.
Gopi ne meera shav ko dekha to wo rote huye bolne lga,
Maar diya maar diya meri beti ko dahej k laalchi logo ne...... inko kadi se kadi saja dena.
Police wale unko pakad kr le jane lge to Meera ka pati Mahesh ne kaha,
Me batata hu sachai meri maa ne Meera ko maar diya, ye mujhe bhi badhkati rahi mene bhi bahot julm kiye h Meera pr mujhe iski saja milni chahiye.
Me bhi Meera ka hatyara hu. sarpanch ji ne bola ghar me ye sab ho rha tha or mujhe bhi kbhi pata nhi chala Meera ne kbhi uff tak nhi ki,kaash mujhe pata hota to Meera aaj hamare saath hoti.
Pati or bete dono Maa k khilaf ho chuke the. police shardha,sarpanch or Mahesh tino ko pakad kr le gai.
Sharda ki wajh se pura ghar barbaad ho gaya,
Meera ki jaan chali gai. Sarpanch se uski kursi cheen li gai.
Me is kahani k zariye yeh batana chahti hu desh me aise logo ki wajh se bahot si ladkiyo ki zindgi tabah ho rahi h.
Bahut ladkiyo ne dahej k dabaav me aakar aatm hatya kr li h,
Ya unko majbur kiya gaya aatmhatya krne k liye.
Is dahej partha pr rok lagane ki ham khud se hi shuruaat kr skte h.
Dahej lena or dena dono hi galat hai.
Thank you.
Garib pariwar ki Sabse badi samsya h dahej.
ReplyDeleteAchi story h
ReplyDeleteNice story and topic...we should go against dowery system and first start from ourselves... best story...
ReplyDeleteNice story and topic...we should go against dowery system and first start from ourselves... best story...
ReplyDeleteGood
ReplyDelete👍☝☝☝☺☺☺☺