Kahani lockdown me gribo ki suraksha

Aaj mera ye dusra blog h isme me lockdowm me gribo k haalat k bare me bataungi.

Desh me lockdown lga hua sare kaam dhndhe band ho chuke h.log haath pe haath dhre baithe h.
Garibo pr to musibato ka pahad toot pda,
Kar bhi kya skte h aise me ek ganv me ek priwar rhta tha.
Us pariwar me 4 jne rhte the ma,beta,bahu or do bache.
Unki kapde ki dukan thi usme rahul baithta tha rahul bete ka naam tha
Lockdown ki wajh se dukan band padi thi is wajah se paiso ki tangi aa chuki thi.
Sb tension me rhne lge the.
Ek din rahul ne apni ma se kaha ma ab hm kya krege, ghr me paiso ki kilat h dukan pr sara maal aise hi pda h.
Maa ne rahul se kaha me kuch sochti hu, tum tension mt lo sab thik ho jayega. 
Ek din rahul bahar se aaya or maa se kaha bahar dukano par mask ki kami hone lagi mil hi nhi rhe apni suraksha bhi kese kre,usi 
time rahul ki maa ne kaha mere dimag me idea aaya hai
Tab rahul kehta hai:kesa idea maa,
maa ne kaha hamare paas koi kaam dhanda to h nhi or paiso ki kilat bhi aa rhi h to aise me mene socha ham mask banana shuru kr de.
Rahul ne kaha mask kon banayga itne me rahul ki wife pooja wahan aa gai, pooja ne kaha ham banayege mask, me or saasu ma.
Rahul ne kaha kapda to hamari dukan me h hi,kapde kaam bhi aa jaayege or hamari paiso ki kilat bhi dur ho jayegi.
Rahul mask banane ka sara samaan lekar aa gaya
Saas bahu ne mask banana shuru kr diya.
Rahul dukano pr jakar mask bechne lga.
Pahle din mask bechkr ghar aaya or apni ma se bola ma aaj pahle din hi 2000 ka munafa hua.
Maa or wife bahot khush ho gaye.
Rahul bola maa ham apne mask ki kimat badha de 70-80 rs kr de ma ne kaha nahi 100rs ka ek mask hi bechenge.
Unka mask ka business chal gaya.
Wo rat din mehnat krne lge.
Ek din fir mask bechne rahul gaya or unka 5000rs ka munafa hua.
Ghar me sb bahot khush the.
Ek din rahul mask bechkr ghar aaya to wo pahle jitna khush nhi tha.
Pooja or uski ma ne poocha kya hua aaj muh kyu latka hua hai, Rahul ne kaha aisi koi baat nhi mask to bik rahe h pr kuch dukan walo ne kaha,
Amir to mask kharid kr le sakte h or garib nhi kharid paate,
Unke paas khane ke paise nhi to mask kya khridege itne mahenge.
Pooja ne kaha ma ji ham mask kam paise me bhi to bech skte h. Maa ne kaha ham bhi sochte h garibo k bare me pr ham kya kr sakte .
Ye to hamara busness h aise kese paise kam kr sakte h.
Pooja ne kaha kyu nhi kr skte ma ji itne me 
Maa ne Pooja ko chup kara diya tum apne kaam se kaam rkho ek paisa bhi kam nhi hoga. Pooja chup ho gayi or apne kaam me lag gai.
Ek din pooja mask bana rahi uske phone me 
Ek message aaya or Pooja ne dekha ek video viral hua tha,usme garib log sadko pr bhuke pyase chal rhe the pairo me chapal nhi,muh par mask nhi bina suraksha k sadko pr chal rhe the .dekhte dekhte Pooja ki aankho me aansu bahne lage wo rone lagi.
Pooja sochne lagi yahan ham to aram se rah rhe h in gribo k bare me kbhi itna socha hi nhi .ye bhukhe pyase bache, budhe sb sadko pr aa gye kai to mar bhi gaye.
Aise me kesa business kr rhe hai, bas apna ghar bhar rhehai, khud k bacho ka soch rhe h.kya fayeda aise business ka jo ham kisi ki help bhi nhi kr skte.
Ham khush hamare bache khush itna hi socha hamne, un bacho ka kya jo sadak kinare so rahe h khana bhi nhi mil rha hoga. kya hoga unka.
Itne mein Maa  wahan aa gai or kaha kya hua Pooja tum ro kyu rahi ho.
Pooja ne mobile maya ko pakda diya.
Maya ne wo video dekha to wo bhi rone lagi or Pooja se kahne lagi tum sahi thi mene inke bare kbhi nhi socha bs ghar k bare me socha mujhe maaf kr de mene teri baat ko ansuni kr diya,koi baat nhi ma ji Pooja ne kaha ham ab bhi garibo ki madad kr skte h.
Dono saas bahu kaam me lag gai.
Rahul bahar se aaya or usne dekha ki alag se paanch dibbe mask ke bhare hue the. Usne poocha ye alag kyu hai, Maya ne kaha han ye mask un garibo ko baant aao jo mask nhi kharid paate unki suraksha bhi jaruri .
Rahul khush ho gya wo mask bantne nikal gaya.
Yhi thi meri aaj ki kahani.
Garibo ki suraksha.

Agar aapko meri kahani achi lagi ho toh mujhe follow kare 
Share kare apne doston se.
Bye.

Comments

Post a Comment