Mrityu bhoj
Hi mein deepa regar, aaj mein aapke liye mrityu bhoj pe kahani lekar aayi hoon.
Ye samaj ki ek bahot hi buri kupratha hai. Ise hatakar sarkaar ne bahot hi acha kaam kiya. Samaj se ek burai ko hata diya. Iski wajeh se faltu paiso ki barbaadi hoti.
Is kahani ko poora padhna.
To chalo kahani shuru karte hai.
Ek gaon mein ek pariwaar rehta tha. Maa baap unka ek beta aur bahu aur ek beti rehte the. Beti ki shaadi hogayi thi. Aur bete ki videshi company mein job lagne ke kaaran beta aur uski wife dono videsh mein jaake rehne lage. Ab gaon mein sirf maa baap hi rehte the. Beta kabhi kabhi gaon aa jaata tha lekin kuch saalo se usne bhi aana chod diya. Maa baap usko bulate lekin beta mana kar deta time nhi hai bolkar.
Ek din beta apne pitaji ko phone karke kehta hai, " papa aap mummy ko lekar mere paas aajao. Maime aapke liye ticket book karwadi aur visa bhi bhej raha hoon. Jald se jald yahan aajao."
Is baat se dono khush ho jaate hai hum bete aur bahu ke paas jaayenge.
Beta Ramesh apne naukar se kehta hai ki jaake uske mummy papa ko airport se le aao. Naukar Ramesh ke mummy papa ko lekar aajata hai. Tab Ramesh ki wife(Renuka) naukar ko bula kar kehta hai " mummy papa ka saman lekar tumhare kamre mein rakhdo aur apna saman pack karlo, kal se tumhari chutti."
Naukar kehta hai "madam mujhe mat nikalo mujhse koi galti hogai hai toh maaf kardo"
Renuka: Nahi koi galti nhi hui, ab hum sab milkar kaam kar lenge.
Ye sab baat Ramesh k maa baap sun rhe the.
Renuka k samne unhone kuch nhi kaha.
Ramesh ki maa Renuka ki kichan me or ghar k saare kaam lagbhag Renuka ki saas hi karti.
Ramesh k Pitaji ghar k bahar k saare kaam wohi krte.
Jaise sabji lana,ped podho me paani dalna....
Kuch dino baad Renuka ne ghar ka pura kaam apni saasu maa se karwane lgi khud kuch nhi krti.
Aise hi time nikalta gya or Renuka ko ek ladki or ek ladka bhi ho gaya.
Ladki 5 saal or ladka 3 saal ka ho gaya.
Bacho ko school laane le jane ka kaam bhi Ramesh k pita ji krte the.
Ramesh k pita ji bimar rhne lge.
Wo kaam nhi kar paa rahe the.
Ramesh ki maa unki dekh rekh me lagi rhti thi isliye unse bhi kaam nhi hota tha.
Kaam to kisiko kuch krna nhi aise hi bimari ka bahana banakar aaram karna chahte h,kaamchori dikhate h,yaha bas muft ka khana milta h bas Renuka ne kaha aisa kahte huye saasu maa ne sun liya.
Saasu ma ne kaha ye kya kah rhi ho bahu tumhare sasurji bimar h.
Renuka ne kaha yahan aise hi khana nhi milta thodi mehnat krni pdti h.
Nokar ko bhi kese rkhu paise bahot mangte h.mujhse akeli se itna saara kaam nhi hota.bacho ko bhi sambhalna padta h.Renuka ne kaha aap apne gaon chale jaaye.
Ramesh ke mata pita gaon wapas apne ghar chale jaate hai.
Ek din Ramesh ke pita bahot zyada bimaar ho jaate hai. Ramesh ki behen Shweta aayi hui thi apne mata pita se milne ke liye.
Shweta ne poocha," aap achanak kaise aa gaye, papa itne bimaar kyu hai. " Uski maa ne shweta ko saari baat batai.
Shweta: bhaiya bhabhi aise kaise kar sakte hai hai. Aisi halat mein aapko kaise aane diya.
Shweta: maa aap chinta mat karo mein hoon na.
Ek din Shweta ke pitaji zyada bimar ho gaye aur wo chal base. Unke bete ko bulaya gaya. Ramesh aata hai aur panch kehte hai mrityu bhoj karna hoga. Ramesh kehta hai kya banaye. Panch bolte hai mithai sabzi roti karni hogi. Wo maan jaata hai aur kehta hai mein 7 prakar ki mithai banaunga desi ghee mein aur poore gaon ko nyota dunga.
Shweta peeche se ye saari baate sun rahi hoti hai. Shweta ko ye sunkar bahot bura lagta hai. Usse raha na gaya aur bol padi, " Yahan pe kisiki shadi hai kya, jo aap desi ghee mein mitai bana rahe ho, poore gaon ko nyota de rahe ho. " Panch bolte hai ye toh riwaz hai, aisa karna padta hai.
Shweta: Kaisi pratha hai ye. Jeeteji toh poochte hi nhi, budhape mein akela chod dete hai, aur marne ke baad mithaiyan banate hai aur poore gaon ko nyota dete hai. Kis baat ki khushi mein.
Panch: ye to krana padta h.
Ye ek prtha h ise sadiyo nibhate aaye h.
Kahte jo is duniya se chala jata h uske peeche daan punye kiya hua usko milta h. Jiske maa ya pitaji chale jaate hai toh peeche se beta mrityu bhoj karke daan punya karta ho jo unko aage milta hai.
Kesa daan purnya asli daan purnya to wo hota h jiska beta budhape me apne maa baap ka sahara bane aise nhi ki unko bhudhape me besahara chor de.
Shweta ye sb bol rhi thi to sb uske taraf dekhte rah gye.
Ramesh sharminda ho raha tha.
Shweta ne kaha mere papa kaam karne layek nhi rhe to unko wapis gaon bhej diya .
Bhabhi se ghar ka kaam hota nhi tha.
Inki bhudape me sewa krne k time besahra chor diya.
Jb jeete jee kuch naa kar sake to marne k baad kaisa mrityu bhoj,kaisa ye dikhawa or konsa apna farz nibhaya.Ramesh sharmida ho gaya wo mafi mangne laga lekin ab kya ho sakta tha.
Ramesh or Renuka ne mafi mangi.
Mujhe maaf kardo Maa.
Mujhe meri galti ka ehsaas ho gaya h. Mein maafi ke layak nhi hoon. Maine bahot badi galti ki hai.
Me pita ji ko to wapis nhi la skta pr me aapki sewa me koi kami nhi chodunga. Renuka bolti hai Ho sake to hume maaf kardena maaji. Hum apni galti pe sharminda hai.
Is kahani k jariye mein ye batana chahti hu marne k baad mtityu bhoj krane se acha budhe maa baap ki bhudape me sewa kare.
Apne saath rkhe.
Yhi asli daan punya hai.
Is kupratha ko hatakar sarkar ne bahot acha kaam kiya hai.

Best story Deepu, very nice
ReplyDeletebohot badiya bhabhi ji...
ReplyDeleteNice story...
ReplyDelete